Paryavaran me gadiyo se hone vale pradushan ko mapne ke liye india me "BS" ka Upyog kiya jata he or America me " Tear" isi tarah Euroupe me "Euro" ka Upyog kiya jata hai.
Supreme court ke anusar 1-April-2017 ke bad BS-3 Engine se chalnw vali 2 pahiya 3 pahiya or 4 pahiya vahano ko bechne pr rok h. BS-3 ki jagah lengi BS-4 ke engine vali gadiya, inhe hi ab ab market me banaya or becha jayega . Isi fesle se Automobile ke sector me bhot bada jhataka laga hai, isi ki vajah se in companies ki lagbhag 8.2 lakh gadiya bekar ho jayengi.
Automobile manufactures ke sangathan duvra kaha gya, unhe 1 sal ka time diya jaye jiske rehte ye company apna purana stock khatam kar sake. or in companies ka ye bhi kehna hai ki BS-3 engine ko hatane ka kam dhre dhre kiya jaye kyo ki 2010 se march 2017 tak ke time me 41 vahan companies ne 13 Crore BS-3 engine vali gadiya bnayi hai.
Kya hai BS ?
BS ka matlab hai Bharat Stock, india me pradushan ko mapne ke liye BS ka upyog kiya jata hai. BS ke jariye gadiyo se nikalne vala dhuve ko mapa ja sakta hai. BS Manak Central pollution control board tay karta hai. Sabhi desho ka manak alag alag hota hai, jese America ka Tear-1, Tear-2.
BS ke sath lagne vale number ka mahatva.
BS ke sath jo number lagta he usse yeh pata lagta he ki vah Engine kitna pradushan paida krta hai. Jitna kam number he utna jayda pradushan. or jitna jayda number uthna kam pradushan. Ab court ke aadesh ke anusar BS-3 vale vahan par rok laga di gyi he or ab BS-4 or usse jayda number vale vahan ko upyog me laya jayega.