Saturday, December 9, 2017

Jeb mei nahi hai DL(draving lincence) ya RC to bina dre lekar ja sakenge gade, nhi rokegi traffic police

Ab aapko draving karte time DL or RC ko sath lekar chale ki jarurat nahi padegi.Sarkar apane ‘vahan’ software me update karke aisi yojana lagu karne ja rahi hai, jiske madhyam se parivahn vibhag ya traffic police vahan ki number plat par lage QR number se hi aapka or aapke vahan ka pura byora nikal legi.

driving karte time abhi tak vaahan chalako ko draiving laisens, vahan ki RC va insurance sath lekar chalna padta hai. kai baar jaldi me logo ko in kagajaato ko ghar bhul jaate hai, jiski vjah se unhe chalan bhi bharna padta hai.
bahut jald ye samasya khatm ho jayegi. sarkaar jald hi nayi yogna shuru kar rahi hai. isme vaahno ki number plet par ek QR code ankit kiya jayega. code ko scane karne par vahan aur vahan ke malik ka pura data mobail screen par hoga.
is pakriya me jaanch adhikari ka time bachega or koyi bhi kahi bhi jaanch ke name par avaidh vasuli nahi kar sakega.har vahan malik ko naya QR code milega. parivahan sambhadi kagajo ki timing khatam hone se pahle vahan malik ko alart maisej bhee milega. jisse vah samay rahate renew bhi kara sakega.
is sambandh me ARTO (Administration) Vishwajit Singh ne bataya ki is project par kary shuru ho gaya hai. jaldi hi is yojana ko pure pradesh mein lagu kar diya jaega.




2 comments:

24 TIME INFORMATION

How to get Havasu Falls Permit & Can we swim under it?

  Havasu Falls is the most popular tourist destination of grand canyon!   Are you planning to visit Havasu fall? Then you have to know these...