Friday, July 15, 2016

UFO ke samne aate hi Nasa ke camere hue band.

NASA par naye aarop lage hai, ki woh aliens or UFO ki jaankari duniya se chipaha rahi hai! yahi wajah hai ki jab NASA ke space center ke pass se UFO gujra to NASA ne live prasaran kar rahe video program ko kuch der ke liye band kar diya. Aliens se jude khoj karyo me lage experts ne ise NASA ka dhokha karar diya hai. In logo ka daava hai ki NASA dusri duniya se judi kisi bhi baat ko aam logo tak nhi pahuchne dena chahti. Yahi vajah hai ki woh hamesha space center se live prasaran karne wali video line tak ko rok deti hai. 

Aliens se jude logo ka kehna hai ki international space agency ke pass se haal hi me ek UFO dikha. Uske camera ke samne aate hi NASA ke camere band ho jate gye. Unhe jaanbhuj kar band kia gya, Ya fir woh UFO ki taakat se band ho gye, iska khulasa NASA ko karna chahiye.
Video footage me saaf dikh raha hai ki koi dhundhali si cheez camera par dikh rahi hai. Par turant hi camere ka earth se sampark thodi der ke liye cut jata hai.
Khud ko alien hunter kehne wale streetcap name ke account se youtube par ye video jaari kia gya. Jisme likha hai ki agar aapko yaad hai, toh UFO ka matlab unidentified flying object hota hai. Agar iski phchan NASA ke pass hai, Toh Woh jahir kare.
waise, camere ke samne aane wali is cheezo ko kuch expert chini space station tiangong-1 bhi maan rahe hai. Jiska vajan 8 ton hai aur uspar se chiniyo ka sampark tut chuka hai. Phle is chini space center ko simit tarike se dhamaka kar niche giraya jaana tha par aisa ho nhi paaya.






No comments:

Post a Comment

24 TIME INFORMATION

How to get Havasu Falls Permit & Can we swim under it?

  Havasu Falls is the most popular tourist destination of grand canyon!   Are you planning to visit Havasu fall? Then you have to know these...